Dare akdas pe haal e dil sunana yaad aata hai Naat Lyrics


Naat E Rasool Saw

Dare Akdas pe haal e dil sunana yaad aata hai 

Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Madine mein jo guzra wo zamana yaad aata hai

Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 



Adab se baith kar us gumbade khazra ke saaye mein

Nabi ki yaad mein aansu bahana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Rasulallah ke darbar mein unki muhobbat mein

Ye tera rozo shab ka aana jaana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai




Awais  karni bole maa ijazat dijiye mujko

Judaee mein tadapta hun madina yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Mizare fatema pe karbala walon ki yaad aaee

Madine waale aaqa ka gharana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Nabi ke zikr ki mehfil mein aate hi muje Mohsin

Madina yaad aata tha Madina yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 


Comments

  1. Subhanallah madina to hr wqt yad ata hai

    ReplyDelete
  2. My faverate place madina sharif

    ReplyDelete
  3. Masha Allah Masha Allah Subhan Allah Subhan Allah

    ReplyDelete
  4. Missing you Madina... Missing you mere Nabi pbuh😢

    ReplyDelete
  5. Main Mehta hoon subhanallah is bachay ko price of naat award Milan chah hiaa.

    ReplyDelete
  6. اللہ ہم سب کو مدینہ کی زیارت عطاء فرما

    ReplyDelete
  7. Mere Liya Dua Kare Ky Main Dubra Apni Ame Or Bivi Or Beti Ky Sat Phir Madina Sahreef Or Kabaa Sahreef Phir Sy Chala Jao

    Or Allah Pak Aap Sab Ko Bi Ly Jy
    Ameen

    ReplyDelete

Post a Comment

anly

AD